ABOUT US
Aap ka behtareen salesman,
har waqt kaam par.
Asaan Karo aapke WhatsApp par ek AI sales agent rakhta hai. Woh har customer ko foran jawab deta hai, sahi products dikhata hai, orders aur bookings leta hai, aur sale poori hone tak follow-up karta hai.
Chat ke peeche ek poora business system hai: orders, appointments, installments, stock aur roz ki reports — sab ek dashboard mein.
- 24/7
- Customer ke jawab
- 10 min
- Live hone tak
- Rs 0
- Har message ki fees
- 15 days
- Free trial
Hum ne ye kyun banaya.
Pakistan mein zyada tar business WhatsApp par chalta hai. Customer raat ko bhi message karta hai, price poochta hai, bargaining karta hai — aur jawab der se mile to woh kahin aur chala jata hai.
Hum ne Asaan Karo un dukaandaron aur business owners ke liye banaya jo apna kaam chalane mein itne masroof hain ke har message ka jawab nahi de sakte — aur ek bhi sale khona afford nahi kar sakte.
Hamara wada
- • Prices aur discounts hamesha aapke control mein.
- • Payment verification aur dispatch aapki team karti hai.
- • Aap jab chahein chat apne haath mein le sakte hain.
- • Aapka data sirf aapke account mein rehta hai.
Ek agent. Poora business.
Chat se le kar hisaab tak — sab Asaan Karo mein.
WhatsApp par AI replies
Har customer ko foran jawab — Roman Urdu ya English mein, din raat.
Orders aur bookings
Products dikhata hai, order aur appointment khud record karta hai.
Aapki range mein bargaining
Discount sirf utna jitna aap ne allow kiya — us se neeche kabhi nahi.
Khud follow-up
Jo customer chup ho jaye, usay agle din yaad dihani aur offer.
Qiston ka hisaab
Installments, due dates aur received payments ek jagah.
Ledger aur kharche
Roz ki sales, kharche, munafa, opening aur closing balance.
A product of
MAKSOF Technologies
Plot # LS-16, Street no 10, Sector 5E, Orangi Town, Karachi 75800, Sindh, Pakistan
www.maksof.com
